HomeMotivational ShayariMotivational Shayari in Hindi

Motivational Shayari in Hindi

Motivational Shayari in Hindi

 

1.  jo sirfire hote hai itihas wahi likhte hai, samajhdar log to sirf unke bare me padhte hai, parakh agar heere ki karni hai to andhere ka intejar kar,warna dhup me to kanch ke tukde bhi chamakte hai

x

We have so many Motivational Shayari in Hindi you can read it now, which will make you motivated. We suggest you to read it. We also provide so many categories of stories such as moral stories, romantic stories, and love stories. We also provide love story. I hope you will enjoy our Motivational Shayari in Hindi.So Let’s start with Motivational Shayari in Hindi:

 

Motivational shayari in hindi
Motivational shayari in hindi

2. Har lamha teri taqdeer sawarti njar ajay. bin mange tujhe mile tu jo chahe, kar kuch aisa kaam ki dua khud, tere hatho ko tarasti najar aaye

3. Suraj har sham ko dhal hi jata hai, patjhar basant me badal hi jata hai, mere man musibat me mat harna, samay kaisa bhi gujar hi jata hai

4. soch ko tum apni lejao shikhar tak, ki uske aage sare sitare bhi jhuk jaye, na banao apne safar ko kisi kasti ka mohtaz, chalo is shan se ki tufan bhi jhuk jaye

Read more: love shayari, 

5. jinadagi usi ko ajmati hai, jo har mod par chalna janta hai, kuch pakar to har koi muskurata hai per, jindagi usi ki hai jo kuch kho kar bhi muskurana janta hai

6. agar jina hai to sahna sikh lo, samandar ki tarah bahna sikh lo, bolne wale aksar piche rah jate hai, chup rah kar age badhna sikh lo.

7. roj roj gir kar bhi mukammal khada hun. ae mushkilon dekh mai tumse kitna bada hun, manjil mile na mile ye to mukaddar ki bat hai, ham koshish bhi na kare ye to glat bat hai

8. kuch kar gujarne ke liye mousam nahi man chahiye. sadhan sabhi jut jayenge bas sankalp ka dhan chahiye. bharosa khuda par hai to likha taqdeer hi paoge aur, bharosa khud par ho to khuda wahi likhega jo aap chahoge.

Motivational shayari in hindi
Motivational shayari in hindi

9. hosla kam na hoga tera tufano ke samne, mehnat ko ibadat me badal kar dekh. khud ba khud hal honge jindagi ke mushkile, bas khamoshi ko sawalon me badal kar to dekh

10. Hosla ka ek diwar paida kar, apne andar ek hoshiyar paida kar. Rahon me ane wali har mushkilon se, ladne ko hamesha tayyar baitha kar.

Motivational  Shayari

11. parindo ko manjil milegi yakinan, ye phaile hue unke par bolte hai. aksar wo log khamosh rahte hai, jamane me jinke hunar bolte hai

12. chalta rahunga path par, chalne me mahir ban jaunga. ya to manjil mil jaygi ya musafir ban jaunga.

13. khol do pankh mere kahta hai parinda abhi udan baki hai. jamin nahi hai manjil meri abhi pura asman baki hai. lahro ke khamoshi ko samandar ki bebasi na samajh ae nada. jitni gahrai andar hai bahar utna tufan baki hai.

Read More: motivational phrases

14. Muskilo se bhag jana asan hota hota hai, har pahlu jindagi ka imtehan hota hai. darne walo ko milta nahi kuch jindagi me, ladne walo ke kadmo me jahan hota hai

Motivational Shayari in Hindi

15. khawab tute hain magar housle abhi jinda hai, main wo shaks hun jisse mushkile bhi sharminda hai.

16. jitunga mein yeh khud se wada karo, jitna sochte ho koshish usse jyada karo. taqdeer bhi ruthe par himmat na tute, majboot itna apna irada karo

17. na sanghars na taklif to kya maja hai jine me, bade bade tufan tham jate hai jab aag lagi ho sine me.

Motivational shayari in hindi
Motivational shayari in hindi

18. manjil unhi ko milti hai, jinki sapno me jaan hoti hai, pankh se kuch nahi hota housle se udan hoti hai,

19. Aj mushkilon ne mujhe phir se ghera hai, tufano ne rasto me pathathar bikhera hai. Per maine kah diya in andhiyoun se, wo manjil sirf aur sirf mera hai.

20. Abhi to safar ka anjam baki hai, abhi to rahon ka imtehan baki hai. Sirf abhi toli hai chutki bhar jamin, abhi to tolna asman baki hai.

21. jindagi me kabhi udas n hona, kabhi kisi bat par niras na hona. ye jindagi ek sangharse hai chalti rahegi, kabhi apne jine ka andaz na khona

Motivational  Shayari in Hindi

22. Pedo se tum ugna sikho chidiyon se tum udna, kawwe se tum ekta sikho, koyal se tum bolna.

23. parindo ko manjil milegi yaqinan, ye faile hue unke par bolte hain. aksar wo log khamosh rahte hai, jamane me jinke hunar bolte hai.

24.. samne ho manjil to raste mat modna, Jo bhi ho man me wo sapna mat todna. kadam kadam per milegi mushkile aap ko. bas sitare chhune ke liye jamin na chhodna

25. hawaon se kahdo ki apni aukat me rahe. ham paro se nahi houslo se uda karte hai.

26. najar ko badlo to najare badal jate hai, soch ko badlo to sitare badal jate hai. kashtiyan badalne ki jarurat nahi. disha badlo kinare khud ba khud badal jate hai.

27. mil hi jayagi manjl bhatakte bhatakte, gumrah to wo log hai jo ghar se nikle hi nahi.

28. Apni jamin apna naya asman paida kar. Apne dil me ek bada jahan paida kar. Mangne, Manjil to mil hi jayegi ae mere dost, bas apne irado me tu jaan paida kar.

29. Gam ke andhere me khud ko beqarar na kar, Subah jarur ayegi tu subah ka intejar kar.

Motivational shayari in hindi
Motivational shayari in hindi

30. Kyu dare ki jindagi me kya hoga, Her waqt kyu soche ki bura hoga. badhte rahe bas manjilon ki or, hame kuch mie na mile tajurba to naya hoga.

31. Jo muskurs raha hai use dard ne pala hoga, jo chal raha hai uske paon me chala hoga. bina sangharse ke insan chamak nahi sakta, jo jalega to usi diye me to ujala hoga.

32 Jamir jinda rakh kabir jinda rakh, sultan bhi ban jay to dil me faqeer jindah rakh. housle ke tarkash me koshish ka wo teer jinda rakh. Haar ja chahe jindagi me  sbkuch magar phir se jitne ki ummid jindah rakh.

33. khawab tute magar housle jindah hai, ham wo hai jahan mushkile sharminda hai.

34. Badal jao waqt ke sath ya phir waqt badalna sikho, majburiyon ko mat koso her hal me chalna sikho.

35. Ae jamin par baith kar asman dekhne wale, pankho ko khol aur udan kar.

36. Ankho me pani raho hotho me chingari rakho. Jindah rahna hai to tarqeeb bahut sari rakho. Rah ke paththar se bad kar kuch nahi hai manjile. Raste awaj dete hai safar jari rakho.

37. Duniya ka har shouq pala nahi jata. Kanch ke khiloune ko hawa me uchala nahi jata. mehnat karne se mushkile ho jati hai asan. Kyunki har kam taqdeer par tala nahi jata.

38. Jinko kahna hai kahne do apna kya jata hai, ye waqt waqt ki bat hai aur waqt sabhi ka ata hai.

39. Bikharne lage jab tere irade, to yad karne khud se kiye hue sab wade

Motivational shayari in hindi
Motivational shayari in hindi

40. Rakh housla wo manjar bhi ayega, Pyase ke pas chal kar samandar bhi ayega. Thak kar na baith ae manjil ke musafir, Manjil bhi milegi aur milne ka maja bhi ayega.

41. Talim nahi di jati parindo ko udano ki, wo to khud hi samajh jate hai uchai asmano ki.

42. Log har mod par ruk ruk kar sambhalte kyu hai. Itna darte hai to fir ghar se nikalte kyu hai. mod to hota hai jawani ka sambhalne ke liye, Aur sab log yahi akar fisalte kyu hai.

43. Apne hatho ke laqeeron per mat rakh biswas ae mere dost, kyunki taqdeer unki bhi hoti hai jinke hath nahi hote.

44. Chhu le asman jamin ki talash nakar. Maja le jindagi ka khushyon ka talash nakar, Gamo se dur ho kar teri taqdeer bhi badal jayegi. Muskurana sikh le uski ajah ki talash na kar.

45. Jindagi leti hai her mod per imtehan. Na dekh kon tere piche hai aur kinke hatho me hai teri lagam. mushkile to har rah me aati hai mere dost, ghar se nikal aur safar se karle hasil apna muqam

46. Mushkilon se jit kar ane ke liye kafi hun, main akela hi jahan k liye kafi hun. Meri har haqeeqat ko sapna samajhne walon. Mai tumhari hosh udane ke liye kafi hun.

47. Na badli waqt ki musibat na jamana badla. jab sukh gya ped to parindo ne thikana badla.

48. Jindagi ki haqeeqat ko hamne sirf itna hi jana hai, dard me akele hai aur khushiyon me sara jamana hai.

49. waqt ki najaqat ko samajh kar badhne ki jajbat paida kar. Har mushkilon ki ko chir de aisi halat paida kar.

Motivational shayari in hindi
Motivational shayari in hindi

50. Rishta wo nahi hota jo duniya ko dikhaya jata hai, Rishta wo hota hai jise dil se nibhaya jata hai. Apna kahne se apna koi nahi hota. Apna wo hota hai jise dil se apnaya jata hai.

51. Jindagi ki preshaniyon se mat ghabranaSamandar ki lahre bhi aa jay to chalte hi jaanaManjil to milegi yaqinan agar jo thaan lo dil meinPad udne ki chaah mein Jamin ko bhul na jaana

52. Mehnat itni khamoshi se karo ki safalta shor macha de

53. Jalne do logo ko ke unka kaam hai jalnaBas tum irade majboot kar aage ko badhte rahna

54. Na pucho koi hame ki kya haal haiKhun me hai garmi aur Dil mera jalaal haiKe jalte hain log meri unchai ko dekh karKyunki mere irade aur mehnat be-misal hai

55. Agar samandar bhi aajay to dar jay dekhkar mere housleBanaya hai jo itna majboot apni mehnat ke ghosle

56. Na baith thak kar ke Manjil ab pass haiBaki abhi jaan chal rahi tujhme saans haiAjay agar maout Manjil paane se pahle tokya hua, jamin gayi to baki pura akash hai

57. Chal diya Manjil ki taraf irade majboot kar keYa to Manjil milegi ya tajurba kuch naya hoga

58. Ae toofan tham ja jara ke tu kuch bigad na payegaHousle itna majboot hai ke tu kuch ukhad na payega

59. Log mujhe bura kahte hainMeri kamyabi se jala karte hainKyunki ham paro se nahinhouslo se uda kartein hain

60. Aj phir tumhe waqt ka ishara haiAge badho ke ya jahan tumhara haiKarlo majboot apne irade abhi abhike tumhari Manjil ne tumhe pukara hai

61. Apni Taklifon ko sahna sikhoThokro ke bad bhi chalna sikhoKe milegi jo tum chahte ho yaqinanBas sabr ke sath mehnat karna sikho

62. Main khud se khud ko acha kah leta hunKyunki bura kahne ke liye to log hai hi

63. Jalte wahi log hai apse jo apki brabri karne ki aukat nahi rakhte

64. Agar fail hue to qismat ka koi dosh nahiKami hui hogi tujhme kuch Shayad tujhe hosh nahiAgar milti hai asafalta har bar tumhe to Shayad Jitna chahiye utna tujhme josh nahin

65. Jindagi bahut khubsurat haiKabhi hasati hai to kabhi rulati haiPar jo dat kar iska samna kareKamyabi usi ke aage sar jhukati hai

66. Jo has raha hai abhi wo jarur koi dard pala hogaJo chala hai raasta uske pairo mein chhala hogaKe tu rok na khudko Manjil pane se pahle kabhiAndhera hai abhi to sabr kar thoda, ujaala hoga

67. Khol apne pankho ko ke abhi udan baki haiAbhi to bas puri hui hai zamin, pura asman baki haiRok mat Abhi apne kadam in tej hawaon ke samneAbhi to aana samandar ka pura tufaan baki hai

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here